Dosti Naam Nahi Sirf Doston Ke Saath Rahne Ka...

Dosti Naam Nahi Sirf Doston Ke Saath Rehne Ka,
Balki Dost Hi Zindagi Ban Jaate Hai, Dosti Main...

Jaroorat Nahi Padti, Dost Ki Tasveer Ki,
Dekho Jo Aaina To Dost Nazar Aaate Hain...

Yeh To Bahana Hai Ki Mil Nahi Paaye Doston Se Aaj,
Dil Par Haath Rakhte Hi Ehsaas Unke Ho Jaate Hai...

Naam Ki Toh Zaroorat Hi Nahi Padti Is Rishte Main Kabhi,
Puche Naam Apna Aur Doston Ka Batate Hai Dosti Main...

Kaun Kehta Hai Ki Dost Ho Sakte Hai Judaa Kabhi,
Door Rekhkar Bhi Dost, Bilkul Kareeb Nazar Aate Hai...

Sirf Bhram Hai Ki Dost Hote Hai Alag Alag,
Dard Ho Inko Aur Aansoo Unke Aate Hai...

Maana Ishq Hai Khuda Pyaar Karne Waalon Ke Liye "Abhi"
Par Hum Toh Apna Sar Jukate hai Dosti Main...

Aur Ek Hi Dawa Hai Gam KI Duniya Main Kyunki,
Bhul Ke Saare Gam Doston Ke Saath Muskutaate Hai Dosti Main...

No comments: